Lekhak Buddha

Tuesday, January 17, 2006

Shehar

Concrete ke ye jungle,
door thak phaile hue,
taar se bhari ye sadke,
khatm na ho kahin pe,
aadmi aur gaadi,
dono dhuan chodte,
lal rang suraj ka,
din ke dhalte dhalte,
shor hai ya awaz hai,
ya bheed me ek pukar,
bas yehi na samjha main,
waqt yun hi hai gujar raha,
Dekho is shehar me.

Ujalo ki chamak itne,
raat me taare nahi,
sitare agar khojo to,
bas parde pe nazar aye,
bus train ke awaaz,
me sara shor ghum jaaye,
dikte hai anjaan chehre,
par muskaan hai nahi,
daud bhag roj ke jhamele,
is me bhi dekho to maje hai,
bas yehi na samjha main,
waqt yu hi hai gujar raha,
Dekho is shehar me.

Thursday, January 12, 2006

Guroor

Kwaab dekne ek din pankh khole,
dekhe haath hi the kate,
Udnne ki chaah se bhi, ho gaye pare,
pankh bhi mere, phir murjhaye murjhaye.

Dekhe, sar uthake asmaan ki O'r,

kuch panchi mere nazar me,
bad-mast ho gaa rahe.
kabhi idhar to kabhi udhar,
hawaon me gunguna rahe.

Mere halaat ki khamoshyan,
un-he nahi the sata rahe.
Soch me pad gaya man,

kaise ho aaye ye pal,
jag se inte pare ho chale,
ki jag dhoonta hi nahi.
jag se inte pare ho chale,
ki koi poochta hi nahi.

Phir paas me dekha,
toote hue kwaab leke,
paankh phailne ki chaah me, ek aur , ek aur nazar aaye.
uske bhi pankh the rookhe, mere bhi the sookhe, dono muskuraye.
dono ek doosre ki O'r dekhe aur mud gaye.
Do shadb bhi na kahe, guzar gaye.

Ab sochta hoon,aur man se kehta hoon,
kaash kuch alfaas keh dete to,
shayad halaat badal jate,
kwaab dekte dono sahara pakad,
shikar me ud jaate.
Par ab apne aap me itne khoye,
sahil nazar me nahi,
jag se inte pare ho chale,
ki jag dhoonta hi nahi.
jag se inte pare ho chale,
ki koi poochta hi nahi.

Wednesday, November 23, 2005

Vaadi

alfhaas do kuch keh diye,
sabah hote sab gum gaye,
kehne ko tha kuch nahi,
par, sunne ko the sab bekarar.
awaz ye khamoshi ki,
ghooje hai is vaadi me.
saaz ye sanaate ki,
dekho gaaye har ghadi.


अल्फ्हास दो कुछ कह दिए,
सबह होते सब गुम गए,
कहने को था कुछ नही,
पर, सुनने को थे सब बेक़रार,
आवाज़ ये खामोशी की,
गूजे है इस वादी मी.
साज़ ये सन्नाटे की,
देखो गाए हर घड़ी |